Ghazal: aabaad joh dil ko rakhe…


tha ussi ka gham yahan aabaad jo dil ko rakhe,
uski par maujoodgii naashaad jo dil ko rakhe,

hai faqat ye aarzuu ke aarzu poori na ho,
phir bhala kya cheez ho barbaad jo dil ko rakhe,

apne mann ko tum ne toh mujh se faqat upar rakha,
be-gharaz the ham hi tere baad jo dil ko rakhe,

iss qafas se daur me kya fursat-e-aawaargii,
ham hi hai shauqeen bas aazaad jo dil ko rakhe,

Ghazal: sharminda baarha hone…

Taras gaye qafas-e-lab se yun rihaa hoone,
na raazdaan mile lafzon ko aashna hoone,

tabeeb e dil chale pahlu bacha kar ke dar se,
ke haath gham hi bacha gooya ab dawaa hoone,

ilaaj ho mere iss dil ki be-hisii ka kuch ,
ussi ke dar hue sharminda baarha hoone,

taveel umr lagi zindagi sajaane me,
khaayal-e-zist ko lamha laga sazaa hoone,

hai ek  arse se toofaan-e-ranj ka zorr yahan,
jalaayi charaag e tamanna magar bujhaa hone,