Ghazal: bad-kalami ab rahi…

Hai nahi koii bhi khwaish dil me baaqi ab rahi,
Hai qaraar e dil magar ko be qaraari ab rahi, 

Hai bayaan e sarkashi isko sukhan toh mat kaho
Kaghazon par dard ke bas khoon baazi ab rahi, 

Kya sitam hai neend se be daar mujh ko kar diya
tere agle khaab tak ye yaad gaari ab rahi, 

Kaise tujh ko dard dikhta hai nahi khat me mere
Hun qalam ghista lahuu se ye siyaahii ab rahi, 

yaad aata hi nahi hai yaad karne par bhi tu
phir bhi har pal jaana teri yaad gaari ab rahi, 

halaten joh kuch thi mumkin saari guzri dil pe hai
sab hua par baaqi dil ki chaarzsaazi ab rahi,

Dard ho jab dil me toh kyu dard na ussko kahen
Sab hi ko khush fehm jeene ki bimaari ab rahi, 

Hai saje saare gali baazar shahar ke magar
Bas Mere kamre ki deewaren kuwaari ab rahi, 

Baat karne aata hai na likhne aata hai hame
Haan ravaani aagyi par bad kalami ab rahi,

-Shafey Malik

Leave a comment